Tuesday, July 23, 2024

NEWS: Hakoomat Ko Khatra Noon League kay andar jari iqtidar ki jang say hay

Hakoomat Ko Khatra Noon League kay andar jari iqtidar ki jang say hay: Faisal Wawda


22 July, 2024


Karachi: sabiq wafaqi wazeer senator Faisal Wawda nay kaha hay kah hakoomat ko khatra noon league kay andar jari iqtidar ki jang say hay, IMF nay wazeer e Khazana say deal kar li hay.

sabiq nigran wazeer Gohar Ijaz nay kaha kah power plants ko 2.1 trillion ropay denay hein, char power plants aisay hein jinhein aik aik hazar karor ropay mahina diye gaye magar zero bijli li gai, yah kaisa contract hay plant band kar kay awam say paisa wasool kia jaye. 

Faisal Wawda nay mazeed kaha kah mujhay samjh nahi aa rahi aeini break down ki baat kahan say nikal rahi hay. is say behtar hay wuzra apni nalaiki maan lein tow qoum zayada izzat karay gi.





Noon League, PP rahnumao ki aiwan sadar bethak. PTI par pabandi samait tamam faislay ittifaq say karnay ka faisla


20 July, 2024


Sabiq sadar, wazeer e azam, aur dupity speaker par Article 6 lagu karnay kay muamlay par tabadla e khayal. Dono jamato ka riyyasat aur hakoomat kay khilaf tehreek e insaf kay ghair jamhuri rawaiiye par tashweesh ka izhar.


aham faislay yak tarfa ki bajay aitimad mein lay kar kiye jaein. (People's Party ka mutabla). ab solo flight nahi karen gy (Noon League). Atorney General nay makhsoos nashiston par briefing di.

Biotechnology



Biotechnology aik aisi technology hay jo bani no-e-insan kay faiday kay liye hayatayati zindagi kay jiniyati naqshay ko bahtar bananay mein istimal hoti hay.

Plant biotechnology podon ki afzaish ki technique hay. jo faslo kay podon mein tabdili lanay aur un ko behtar bananay mein istimal hoti hay. in techniques ki bunyad par scientists nay mazboot bunyad par zarai pedawari salahiyyat ko barhanay kay liye hal pesh kiye hein. in tehcniques ko use kar kay biotechnology ki madad say faslo mein behtari lanay ki salahoyyat ko takweet di ja rahi hay.

Biotechnology ki inhi khasoosiyat ko jantay huway 1987 mein zarai tehkikati idara bara e biotechnology wajud mein aaya. filhaal is idaray mein mukhtalif faslo jin mein gandum, chawal, kapas, ganna, charah, tail waghera aur sabziyo mein behtari lanay kay liye mukhtalif zaviyo say tahqeeq ho rahi hay. 

Baaz - باز



Baaz aik bohat hi mash-hoor prinda hay. aam tor par baaz insani abadiyo say door rahtay hein. yah paharo mein ghonsla banatay hein aur unchi chatano par rahtay hein. Baaz ko parindo ki dunya ka badshah kahna kuch ghalat na ho ga.

baaz prindo mein sab say taiz raftar prinda hay aur is ki urnay ki spead taqreeban 160 Kilometer/hour say lay kar 320 Kilometer/hour tak hoti hay.

Baaz kabhi murda janwar ya parinda nahi khata yah tak kay kisi dusray ka shikar kia huwa bhi kuch nahi khata balkah yah hamesha khud shikar karta hay. yah kisi bethay huway prinday ka shikar nahi karta balkah sirf urtay huway parinday ka shikar karta hay.

Baaz ki amumi khorak machliyan, chotay janwar, urtay huway parinday hotay hein. al-batta saanp is ki marghoob tareen ghaza hay.

Baaz ki aam tor par zindagi ka doraniya 15 saal say kar 30 saal tak hota hay. Baaz ki bohat sari kismein hein. Baaz aik qeemti parinda hay aur shikari is ki taak mein rahtay hein. kion kah sasta tareen baaz bhi taqreeban Rs. 80,000 say lay kar Rs. 200000 tak bikta hay.

Monday, July 22, 2024

Mulla Naseer U Din aur aik Yahudi

Mulla Naseer Udin kay paros mein aik maldar yahudi rahta tha. jo itna kanjus tha kah kabhi kisi ghareeb aur mohtaj ko kabhi aik paisa na deta. Mulla nay kai martaba usay samjhaya kah Khuda nay tumhein dolat ata ki hay usay ghareeb logo par kharach kia karo lekin us nay kabhi Mulla ki aik bhi naseehat na suni.

Akhir kar Mulla nay usay saza denay kay liye aik tarkeeb sochi. aik din wo subha namaz parh kar zor zor say dua mangnay laga "Ya Allah agar too mujhay aik hazar ashrafiyo ki theli day day tou mein usay sab ki sab ghareebo par kharch kar dun ga. Lekin agar us mein say aik bhi ashrafi kam hui tou mein us ko qabool nahi karu ga".

Yahudi nay yah dua suni tow socha kah Mulla bara imandar banta hay, is ki imandari azmani chahiye. yah soch kar us nay aik theli mein 999 ashrafiyan rakhein aur ain us waqat jab Mulla Naseer U Din dua mang rahay thay us waqat un kay sehan mein phaik dein.

Mulla Naseer U Din nay lapak kar theli utha li aur ahsrafiyan ginanay lagay. kul 999 ashrafiyan thein. Mulla nay zor say kaha "Ya Allah tera shukar hay kah too nay meri dua qabool farma li. aik ashrafi kam hay tow koi baat nahi yah ashrafi phir kabhi day dena".

Yahudi nay jab yah alfaz sunay tow dil mein sochnay laga kah yah Mulla tow bohat chalak hay is nay dhokay say meri ashrafiyan hathiya li hein. wo bhaga bhaga Mulla kay paas gaya aur kaha "tum bohat bay iman shakhs ho tum nay tow kaha tha kah 1000 mein say aik bhi ashrafi kam hui tow mein qabool nahi karu ga". Lekin ab tum 999 ashrafiyan qabool karnay par tayyart ho.

Mulla Naseer U Din nay ghussay say kaha, "yah mera aur meray Allah ka muamla hay tum darmiyan mein aanay walay kon hotay ho. Chalo bhag jao yahan say".

Yahudi seedha qazi ki adalat mein gaya aur Mulla kay khilaf muqadma dayar kar dia. Qazi sahab nay yahudi ko hukam diya kah Mulla Naseer U Din ko yahan lay kar ao.

Jahudi nay Mulla Nasser U Din kay paas aa kar kaha chalo tumhein Qazi sahab bula rahay hein.

Mulla nay kaha tum dekh rahay ho mera libaas phata huwa hay. mein is sharat par tumharay sath janay kay liye tayyar hon agar tum mujhay achy say kapray laa do. 

Yahudi nay sharat manzur kar li aur saaf suthray kapray laa kar Mulla ko day diye. 

Besh qeemat libad pehan kar Mulla Naseer U Din kahnay lagay, aye yahudi khud socho itna qeemti libaas pehan kar ab mein pedal qazi ki adalat mein jaon? log dil mein kia sochein gy. Jao aur apna ghora lay kar ao. mein ghorray par sawar ho kar jaon ga.

Yahudi marta kia na karta us nay apna ghora bhi laa kar Mulla kay hawalay kar dia.

Aur Mulla sahab nihayyat shano shokat say tayyar ho kar Qazi ki adalat mein pohanchay.

Muqadma pesh huwa qazi sahab nay ghor say dono ko dekha.

Mulla Naseer U Din ka qeemti libas aur ghora bhi unho nay dekha.

Yahudi ka libas dekha aur yah bhi mahsoos kia kah yahudi pedal chal kar aaya hay.

Yahudi nay jab sara qissa sunaya tow qazi nay Mulla Naseer U Din say pucha Mulla sahab tum is kay ilzam ka kia jawab detay ho?

Mulla nay kaha janab yah yahudi mera parosi hay aur nihayyat jhuta shakhs hay. Abhi yah kahta hay kah mein nay is ki 999 ashrafiya hathiya li hein. Abhi tow yah kahay ga kah yah jo libaas mein pehan rakha hay yah bhi isi ka hay. 

yah suntay hi yahudi chilla utha jee han janab yah libaas jo Mulla Naseer U Din nay pehan rakha hay yah bhi mera hay.

Mulla nay kaha sun liya qazi sahab yah libaas bhi us ka ho gaya. Aur abhi aap dekhiye ga yah kahay ga kah jis ghorray par sawar ho kar mein aaya hon yah bhi isi ka hay.

yah sun kar yahudi ghussay say cheikh utha aur zor zor say chillanay laga jee han jee han yah ghora bhi mera hay.

Qazi nay jab yah batein sunein tow yahudi ko dant kar wahan say bhaga diya aur muqadma kharij kar dia.

Yahudi rota peet-ta Mulla Naseer U Din kay ghar pohancha. aur us ki bari minnat samajat karnay laga.

Mulla nay is sharat par us ki ashrafoyyan libas aur ghora wapis kia kay wo adhi ashraffiyan ghareebo mein bantay ga aur ainda bhi ghareebo ki madad karta rahay ga.

Saturday, July 20, 2024

Hindko Shayari Tappay Mahiye - ہند کو شاعری، ٹؔپے، ماہیے

چھلا میرا جی ڈھولا

ڈبی وچ ہلدی آ

رج رج ویکھن دے ماہیا کہڑی جلدی آ


challa mera jee dhola

dabbi vich haldi aa

raj raj kay wekhan day mahiyya kehri jaldi aa


-------------------------------------------------------------------


سونے دا کیل ماہیا 

سوہنیا بندیاں دے

ہوندے کافر دل ماہیا


sonay da keel mahiya

sohniya bandayan dy

honday kafir dil mahiya


-------------------------------------------------------------------


ڈبی وچ تاش ماہیا

کسے کولوں نہیں ڈردے

اسی آپ بدماش ماہیا


dabbi vich taash mahiya

ksay kolon nahi darday

asi aap badmaash mahiya


-------------------------------------------------------------------


چھلا میرا جی ڈھولا

چڑی اڈ گئی ملوکاں تُو

اُوناں نال یاری کی لانی

جہیڑے ڈردےنے لوکاں تُو


challa mera jee dhola

chirri ud gai mlwkan toun

oona naal yaari ki laani

jherray darday nay lokan toun


-------------------------------------------------------------------


چٹے رنگ دی گاں ہوندی

دہرتی آں کیوں لُٹ دے او

دہرتی تے ماں ہوندی


Chittay rang di gaan hondi

dharti aan kion lutt day O

dharti tay maan hondi


-------------------------------------------------------------------


دکھڑا سنڑاواں کدے ہس سو تے نا

ادھی گل سنڑ کے تے نس سو تے نا


dukhra sunrawan kdy hass so tay na

adhi gal sunr kay tay nass so tay na


-------------------------------------------------------------------


ہٹیاں روں ماہیا

خوشی ساڈی تو ارمان وی توں ماہیا


hattiyan roon mahiya

khushi sadi too arman vi toon mahiya


-------------------------------------------------------------------


مکھن دے پیڑے نی

دل تیرے ناں لایا اونج سجن بتھیرے نی


makhan day perray ni

dil teray naa laaya oonj sajjan batheray ni


Friday, July 19, 2024

Hindko Shayari - ہند کو شاعری

 کوئی جوڑی کاواں دی

دنیاں توں مٹ گئی اے 

ہن رسم وفاواں دی


koi jori kawan di

dunya ton mitt gai aye 

hun rasam wafawan di


------------------------------------------------------


کچ دی ونگ ماہیا

جان وی حاضر اے

ذرا ہنس کے منگ ماہیا


kach di wangg mahiya

jaan vi hazir aye

zara hans kay mang mahiya


------------------------------------------------------


کوئی وگدی نہر ہوئے

دکھیاں بندیاں دا

کوئی وکھرا شہر ہوئے


koi wagdi nahar howay

dukhiyan bandayan da

koi wakhra shahar howay


------------------------------------------------------


کوئی کپڑا سیتا ای

سچ دس وے ماہیا

کدی یار وی کیتا ای


koi kapra seeta ei

sach das way mahiya

kadi yaar vi keeta ei


------------------------------------------------------


کوئی سفر جہازاں تے

وے پہلاں ساڈا دل لٹیا

ہن زور نمازاں تے


koi safar jahazan tay

way pahlan sada dil luttiya

hun zor namazan tay


------------------------------------------------------


سنڑیں سنڑائی گل نہ کر

اتنی وی چہل پہل نہ کر

پہلے کر تصدیق گلاں دی

فر اس تے توں کر یقین

سنگیو چگڑے ہو جلدے نیں

اپڑیں وی پرائے ہو جلدے نیں


sunrrein sunrrai gal na kar

itni vi chahal pahal na kar

pahlay kar tasdeeq gallan di

fir is tay toun kar yaqeen

sangiyo chagray ho julday nein

aprri vi paray ho julday nein


------------------------------------------------------


بنیاں اتے کاہ ماہیا

ست بسم اللہ کراں

کنجو پُہل گئے او راہ ماہیا


baniiyan uttay kaah mahiya

sat bismillah karan

kanjo phul gaye O raah mahiya

Thursday, July 18, 2024

Hamdardi ka Niqab: Story of Two Cousins

Aik martaba ka zikar hay do cousins thay barray ka naam Kabeer aur chotay ka naam Abdul Rehman tha. Kabeer, Abdul Rehman ki khala ka beta tha.

Abdul Rehman bohat mehanti parhnay likhnay wala larka tha. Wo zindagi mein kuch banana chahta tha. 

Abdul Rehman aur kabeer kay walid kay darmiyan shadeed kisam kay conflicts thay. aik waqat tha kah Kabeer kay aur Abdul Rehman kay walid Abdul Rehman kay Nana Abbu kay ghar families kay sath ikathay rahtay thay. us waqat abhi Abdul Rehman peda bhi nahi huwa tha. Lekin Kabeer kay walid nay sazish kay zariye Abdul Rehman kay walid ko ghar say nikalwa dia tha. Tab say in dono kay darmiyan shadeed ikhtilafat thay.

Abdul Rehman ki khawahish thi kah wo bara ho kar bara aadmi banay us kay liye wo din raat parhta aur free time mein bhi creative masrufiyat mein waqat guzarta.

Dusri taraf Kabeer ko parhai likhai mein koi khas shoq nahi tha. wo galiyon mein awara gardi karta, tash khailta, movies aur daramay dekhta. 

Waqat guzarta raha. Kabeer nay apni ayashiyo ko pura karnay kay liye aik factory mein job kar li. Kabeer aur us kay walid ki yah shadeed khawahish thi kah Abdul Rehman bhi parhai likhai chor kar kabeer ki tarha factory mein kaam karay. us kay liye wo din raat Abdul Rehman ki walida ko force kartay rahtay thay. Jis ki wajha say Abdul Rehman shadeed distress ka shikar ho chuka tha aur us ki parhai bhi mutasir ho rahi thi.

Waqat guzarta gaya Abdul Rehman nay Master in Computer Science mukamal kia aur aik achi Multi-National Company mein Computer Programmer ki job hasil karnay mein kamyab ho gaya.

Dusri taraf Kabeer nay mushkil say matric kia aur police mein constable bharti ho gaya.

Kabeer aur Abdul Rehman kay walid intiqal kar chukay thay. Lekin Kabir apnay walid ki rawish barkarar rakhay huway tha. Abdul Rehman kay mun par wo intihai piyar jitata lekin peechay say jarren katnay, sazishen karnay aur musalsal manipulation ka koi moka janay nahi deta tha.

Abdul Rehman ki aik Government officer say shadi ho gai aur us nay Abdul Rehman ki zindagi mein bharpoor sath dia.

yah cheezen Kabir ko sakht khatakti thein. aik din family mein aik dinner ho raha tha. jab Kabeer nay Computer par kaam karnay walo par aik intihai ghatiya sa lateefa sunaya. sab hans paray lekin Abdul Rehman janta tha is lateefay ka maqsad Abdul Rehman ko degrade karna aur usay discourage karna hay. 

Abdul Rehman ki bivi jo sab janti thi us nay baat ka rukh kisi aur taraf morr dia aur Abdul Rehman ko baton mein laga liya.

Kabeer ki adat thi kah woh hamesha aisi trolling Abdul Rehman kay sath akelay mein karta tha. Yah wahid moka tha jab us nay sab kay samnay Abdul Rehman ki insult ki thi.

Dinner kay baad lawn mein chehal qadmi kay doran Abdul Rehman nay Kabeer ko ja pakra. us nay kaha kah mein manta hon kah tumharay aur meray walid kay darmiyan serious conflicts thay. magar is ka matlab yah nahi kah tum har waqat meri leg pulling mein lagay raho. Kabeer chalaki say muskaraya aur kaha nahi Abdul Rehman tum kaisi batein kar rahay ho yah tow sirf aik good fun tha. wo dobara masoomiyat ka libada oorh chuka tha.

Abdul Rehman nay aik lamba saans liya. wo samjh chuka tha kah usay apni family aur bacho kay liye ab stand lena ho ga. us nay kaha dekho Kabeer mein manta hon kah meray aur tumharay walid kay darmiyan conflicts thay lekin tumhara rawaiyya meray sath naqabil e bardasht ho chuka hay. Family ko aik dusray ko support karna chahiye na kah aik dusray ko tabah karnay kay darpay rahna chahiye. 

Kabeer muskaraya aik lamhay kay liye us ko apna aap doobta mahsoos huwa. lekin jald hi us nay apnay aap par qabu paya aur kaha. Oh ho Abdul Rehman tum khawamkhah itnay serious ho rahay ho. Lekin Abdul Rehman is lamhay kamzor nahi para aur kaha, nahi Kabeer mein serious nahi ho raha dekho aik dusray ko izzat dena aik serious matter hay. agar tum mujhay izzat nahi day saktay tow shayad hum aik dusray say na mila karen tow wo acha hay.

Kabeer herangi say Abdul Rehman ki taraf dekhta rah gaya. wo us kay mazboot lahjay say impress ho chuka tha. us nay mun mein kuch burburaya aur wahan say chala gaya. 

Abdul Rehman janta tha is tarha Kabeer ki manipulations khatam nahi ho jaein gi lekin yah aik start tha us nay aik line draw kar di thi. Aur wo us par mazbuti say khara tha.

us din kay baad Abdul Rehman nay apnay aap ko mazeed mazbut karnay kay liye pahlay say bhi zayada koshish taiz kar di. us nay Kabeer ki badtameezion aur chalakiyon kay khilaf apni khud aitimadi aur self respect ko dhaal bananay ka pakka irada karliya tha.

us din Abdul Rehman ko realize huwa kah asal takat kisi kay khilaf dil mein nafrat aur keena rakhnay say nahi banti. balkah apnay liye mazbuti say stand lenay say banti hay. aur is kay sath hi Abdul Rehman ko aik sakun aur takat ka ahsas huwa jis ko Kabeer ki bari say bari manipulation bhi nahi cheen sakti thi.

Shatranj ki Tareekh - The History of Chess


kahtay hein kah puranay zamanay mein jangein bohat zayada hoti thein. aik badshah nay socha kah koi aisa tareeka hona chahiye kah jang bhi na ho aur jango kay faislay bhi ho jaya karein.


us kay liye us nay apni saltanat mein ilan kia kah jo banda aisa hal pesh karay ga us ko mun manga inaam diya jay ga.


badshah kay aik wazeer nay kaha yah kaam mein kar dun ga. is maqsad kay liye wo shahar chor kar paharo mein aik ghaar mein chala gaya aur din raat is maslay ka hal talash karnay laga.


akhir kar us nay shatranj ijaz kar li. wo wapis badshah kay paas aaya aur us ko shatranj pesh ki.


badhsha nay jab shatranj kheli tow wo bohat khudh huwa. us nay wazir ko kaha bolo kia inaam chahiye tumhein.


Wazir nay kaha shatranj kay aik khanay mein aik chawal ka dana rakhein. aglay khanay mein 2 danay rakhein. us say aglay khanay mein 2 ko 2 say multiply kar kay chawal kay danay rakhein. us say aglay mein 4 ko 4 say multiply karein. is tarha aglay khanay mein 16 ko 16 say multiply. har khanay mein jo pichlay khanay ka jawab aye usi number say miltiply karen aur wo saray danay mujhay day dein.


jab hisab kia gaya tow puri mumlikat mein itnay chawal kay danay nahi thay.

Saqi Shayari

alag beithay thay phir bhi aankh Saqi ki pari hum par

agar hay tishnagi kamil tow pemanay bhi aein gy


----------------------------------------------------------------------


kiyun peetay ho sharab kisi kay ghum mein Saqi

ik bewafa ki khatir Khuda ko naraz kartay ho


----------------------------------------------------------------------


Saqi tujhay ik thori si takleef tow ho gi

saghar ko zara thaam mein kuch soch raha hon


----------------------------------------------------------------------


Loat aa saqia loat aa Saqia

dam nikalnay tak too na ja Saqia 


----------------------------------------------------------------------


Saqi aaj rakh lay mahfil mein unqan e wafa....

wo shakhs uth kar chala na jaye tow mujhay kafir kahna


----------------------------------------------------------------------


Mujhay Sharab pila kar bay iman na kar Saqi

madhosh hi karna hay tow mahfil mein zikar e yaar kar

Taaj Mahal Agra


 

Taaj Mahal marble ka bana huwa aik maqbara hay jo Agra, Uttar Pradesh, India mein daryae Yamuna kay daein taraf mojud hay.

is ki construction 1631 mein sharu hui aur 1648 mein khatam hui. yah panchwen mughal badshah Shah Jahan nay banaya tha.

Taaj Mahal shah Jahan nay apni bivi Mumtaz Mahal ki yaad mein tameer karwaya tha. Shah Jahan apni bivi Mumtaz Mahal say bohat mohabbat karta tha. Mumtaz Mahal 17 June 1631 ko wafat pa gaein thein. 

Historians kay mutabiq Shah Jahan apni bivi Mumtaz Mahal say bay intiha mohabbat karta tha. Mumtaz Mahal ki death kay baad Shah Jahan nay mumlikat kay muamlat ko 2 weeks kay liye rok diya. Mumtaz Mahal ki yaad aur ghum ki wajha say us nay 2 saal tak na tow music suna aur na hi koi shahana libas pehna.

Wakeel Lateefay Funny Urdu


wakeel: my lord kanoon ki kitaab ke saffha number 15 ke mutabiq mere muakkal ko ba izzat-bari kia jaye.

JUDGE: kitaab paish ki jaye

(kitab pesh ki gaye)

judge ne saffa khola to us mei 5000, 5000 k do note thay..

JUDGE: is tarah k do saboot aur pesh kiye jayein.


--------------------------------------------------------------------------------------


aik muqadmay mein gawahon kay bayanat sunanay ka baad Judge nay mulzim kay wakeel say kaha kah case tumharay moakil kay khilaf ja raha hay. Tum chaho tow mulzim ko mazeed karwai say qabal is ko alag lay ga kar munasib mashwara day do. yah sun kar wakeel mulzim ko lay kar alag chala gaya. 

Thori dair baad wakeel akalay wapis aaya tow Judge nay daryaft kia kah mulzim kahan hay. 

Wakeel nay jawab diya woh toh bhag gaya. mera isay yahi mashwara tha.


--------------------------------------------------------------------------------------


teen qaidi apnay aap ko jail ka sab say purana qaidi sabit karnay par tulay huway thay. 

pahlay qaidi nay kaha: mein us waqat yahan aaya tha jab tarain nai nai ijad hui thi.

Dusray qaidi nay kaha: mein is waqat yahan aaya tha jab log ghoro par safar kia kartay thay. 

Teesra masoomiat say bola: 


--------------------------------------------------------------------------------------


Wakeel mulzim say: tumhein kis ilzam mein giraftar kia gaya tha?

Mulzim: Sarkari kaam mein rukawat dalnay kay ilzam mein.

Wakeel: tum nay kia kia tha?

Mulzim: Police wala 500 rupay maang raha tha aur mein usay 200 rupay dena chahta tha.


--------------------------------------------------------------------------------------


Sardar ko phansi ki saza hui. 

Judge nay poocha: koi aakhri khawahish hay tow batao?

Sardar: meri jagha aap latak jaein.

Bahadur Shah Zafar Beautiful Ghazal


lagta nahi dil mera ujrray dayyar mein
kis ki bani hay aalam e na paedar mein

kah do in hasrato say kahin aur ja basein
itni jagha kahan hay is dil e daghdar mein

umar e daraz maang kay laye thay char din
do aarzu mein kat gye do intizar mein

kitna bad naseeb hay zafar dafan kay liye
do gaz zameen bhi na mili koo e yaar mein

(Bahadur Shah Zafar)


 

Mirza Ghalib Ghazal


koi umeed bar nahi aati

koi soorat nazar nahi aati


mout ka aik din mueean hay

neend kiyu raat bhar nahi aati


aagay aati thi haal e dil pay hansi

ab kisi baat par nahi aati


janta hon sawab e taa't O Zohad

par tabiat idhar nahi aati


hay kuch aisi hi baat jo chup hon

warna kia baat kar nahi aati


kiyu na cheekhoon kay yaad kartay hein

meri awaz gar nahi aati


daagh e dil gar nazar nahi aata

boo bhi aye chara gar nahi aati?


hum wahan hein jahan say hum ko bhi

kuch hamari khabar nahi aati


martay hein aarzu mein marnay ki

mout aati hay par nahi aati


kabay kis mun say jao gy ghalib

sharam tum ko magar nahi aati


(Mirza Ghalib)

Funny Story of Mulla Naseer U Din

 


aik dafa Mulla Naseer U din bazar mein ja rahay thay kah peechay say kisi nay inhein zor say thappar mara. Mulla sahab nay ghussay say peechay dekha tow wo shakhs ghabra kar bola. Muaf karna mein nay samjha mera dost hay.

Mulla sahab nay kaha nahi chalo adalat chalo meray sath. Mulla sahab is shakhs ko lay kar adalat pohanch gye. 

Judge sahab kay samnay apna muqadma pesh kia.

Judge nay is shakhs ko kaha. Kion janab! tum thappar ki qeemat do gye ya Mulla sahab bhi aap ko thappar lagaein?

is shakhs nay kaha janab! mein thappar ki qeemat dun ga.

Lekin abhi meray paas kuch bhi nahi hay. Meri bivi kay paas kuch zevar hay wo mein lay aata hon. 

Judge nay kaha: theek hay jaldi lay kar aao.

Mulla sahab intizar kartay rahay magar wo shakhs na aaya. Mulla sahab uthay awr aik zor ka thappar Judge ko mara aur kaha.

agar wo zevar laye tow tum lay lena.

Wednesday, July 17, 2024

Naaz Shayari

jis par tamam umar bohat naaz tha mujhay

mera wo ilam meri sifarish na ban saka


---------------------------------------------------------------------


piyar, mohabbat, naaz, nakhray, satana, rulana, manana sar ankhon par magar

Khudara mohabbato mein shamil koi teesra na ho


---------------------------------------------------------------------


tumharay naaz O adaa salamat rahein

hamara dekhna barqarar rahay na rahay


---------------------------------------------------------------------


inhein jo naaz hay khud pay nahin wo bewajah mohsin

kah jis ko hum nay chaha ho wo khud ko aam kion samjhay


---------------------------------------------------------------------


bohat naaz tha mujhay apnay chahnay walon par

mein aziz tha sab ko magar zarurto kay liye


---------------------------------------------------------------------


na janay kon si shohrat par insan ko naaz hay

jo aakhri ghusal kay liye bhi mohtaj hay


---------------------------------------------------------------------


kab nahi naaz uthaye hein tumharay mein nay

dekho aanchal pay sajaaye hein sitaray mein nay


---------------------------------------------------------------------


pahlay is mein ik adaa thi naaz tha andaz tha

roothna ab tow is ki aadat mein shamil ho gaya


---------------------------------------------------------------------


teri sadgi ka husan bhi lajawab hay

mujhay naaz hay kah too mera intikhab hay

Wakeel Funny Jokes Urdu

Sheikh case jeeta tow khush ho kar wakeel ko 20 rupay diye.

Wakeel: yah meray driver kay liye hein ya chaprasi kay liye.

Sheikh: teeno aapas mein baant lo.


---------------------------------------------------------------------------------


pappu nay wakeel ko thapparr mara tow case adalat tak gaya.

Wakeel: judge sahab is nay mujhay thappar mara hay/

JudgeL kia yah sach kah raha hay.

Pappu: jee judge sahab yah sach hay.

Judge: 500 rupay jurmana ada karo.

Pappu utha awr judge sahab ko bhi thappar maar diya. aur isay 1000 rupay diye aur kaha.!!

Mazrat judge sahab! meray paas khulay nahi thay aap dono aadhay aadhay kar lena.


---------------------------------------------------------------------------------


aurat wakeel say: talaq lenay kay liye kia zaruri hay.

wakeel: shadi shuda hona zaruri hay.


---------------------------------------------------------------------------------


Judge: tum teesri baar adalat mein aaye ho tumhein sharam nahi aati?

Sharati kaka: aap tow har roz aatay hein aap ko tow doob marna chahiye.

Police Jokes Urdu



sardar ki bivi inspector say: mera shohar aath din pahlay ghar say aaloo lanay nikla tha wapis nahi aaya.
Inspector bhi sardar tha: tay behan jee tusi kuj hor paka lo

------------------------------------------------------------

aik andha Police mein bharti honay kay liye gaya. Officer nay pucha: tumhein kis liye police mein rakhein?
andhay nay jawab diya: andha dhund firing kay lie












Tassawar Shayari

rahtay hein gharak unkay tassawar mein shab O roz 

ik din hamari jaan mohabbat mein jay gi


--------------------------------------------------------------------------


kuch aisa ho kah tasweero mein jal jay tassawar

mohabbat yad aye gi tow shikway yad aein gy


--------------------------------------------------------------------------


meri bechain ankhon mein jab wo tashreef latay hein

tassawar un kay daman say lipat kar raqs karta hay


--------------------------------------------------------------------------


khud ko bawazu kia teray tassawar say bhi pahlay

mein nay is darja teray ishq ko pakeeza rakha


--------------------------------------------------------------------------


mit jay gunaho ka tassawar hi jahan say Iqbal

agar ho jay yaqeen kah Allah dekh raha hay


--------------------------------------------------------------------------


Sakoot Lahja, adhoori ankhein

jamood sochein, tera tassawar


--------------------------------------------------------------------------


jis kay sath tassawar tha jannat tak ka

wo shakhs meri dunya hi jahanum kar gaya

10th Moharram - Youm E ashura














 

Tuesday, July 16, 2024

Mahboob Shayari

wo tow wo hay, tumhein ho jay gi ulfat mujh say

ik nazar tum mera mahboob e nazar tow dekho


---------------------------------------------------------------------------------------


mein bimar e mohabbat hon mujhay kia gharaz hakeemo say

meri shifa gar jo karna chaho mera mahboob lay aao


---------------------------------------------------------------------------------------


mujh say mat puch meray mahboob ki sadgi ka andaz

nazrein bhi mujh par thein awr parda bhi mujh say tha


---------------------------------------------------------------------------------------


wo kahtay hein ishq ki wazahat karien

hum kahtay hein faqat mahboob ki ata'at karein


---------------------------------------------------------------------------------------


hum tow mohabbat mein bhi toheed kay qa'el hein

aik hi shakhs ko mahboob bana rakha hay


---------------------------------------------------------------------------------------


meray dil mein rah kar kisi aur ko chahnay walay

Khuda tujhay tujh jaisay mahboob say nawazay


---------------------------------------------------------------------------------------


ajab teri hay aye mahboob soorat 

nazar say gir gye sab khoob soorat

Pathan Lateefay

 aik pathan kay andar jin chala gaya. 

3 din kay bad jin khud aik aamil kay paas chala gaya. 

Jin nay kaha: khuda kay liye mujhay bahir nikalo.


-----------------------------------------------------------------------------------


pathan kay teen bachay huway. naam rakha.

Hasrat khan, Harkat khan, Barkat Khan.

phir teen bachay huway. naam rakha.

Darya khan, Sumundar Khan, Selab Khan.

phir teen bachay huway. naam rakha.

Himmat Khan, Hosla Khan, Bardasht Khan.

phir teen bachay huway, is baar bivi nay naam rakha.

bas kar khan, hosh kar khan, raham kar khan.


-----------------------------------------------------------------------------------


pathan namaz parhnay gaya. awr do bar wazu kia.

kisi nay pucha bhai dobara kion wazu kia?

pathan: agar aik toot gayatow dusra kaam aye ga.


-----------------------------------------------------------------------------------


pathan salesman say: shirt kay liye kapra dikhao.

Salesman: plain mein dikhaon kia.

Pathan: nahi helicoptor mein dikha. Khabees ka bacha, jahan pathan dekha wahan mazaq sharu.


-----------------------------------------------------------------------------------


aik shadi mein pathan bari dair say khana kha raha tha. kisi nay pucha kab tak khana khao gy?

pathan bola: yar mein tow khud kha kha kar thak chuka hon lekin shadi card mein likha tha "1 bajay say 3 bajay tak khana ho ga".

Chichi Gujjar Family

 چیچی ایک بڑا اور مشہور گوجر قبیلہ ہے،جو پاکستان،افغانستان اور انڈیا کے ساتھ ساتھ قفقاز میں بھی پایا جاتا ہے۔ چیچی کے لفظی معنی 'چیر پھاڑ' دینے کے ہیں۔انھیں عام طور پر لکھنے کا استاد بھی کہتے ہیں جس کی بنیادی وجہ ان میں موجود پڑھے لکھے لوگوں کی بڑی تعداد ہونا ہے۔ان کا شمار ان گوجروں میں ہوتا ہے جنہیں ترک اپنی تاریخ سمجھ کر دنیا کو بتاتے پھرتے ہیں۔یہ ہند میں تقریباً 500ء کر قریب داخل ہوئے اور اپنی علم دوستی سے ہندومت اور جین مت کے گروئوں کو اپنا اتنا گرویدہ بنالیا کہ جین مت کے پیشوا کا چناؤ ان کے درمیان ہونے لگ گیا۔انھوں نے پہلے عربوں،ترکوں اور پھر آخر میں افغانوں کا کھٹانوں،چوہانوں اور گوجر پرتیہاروں کے ساتھ مل کر بڑی بہادری سے مقابلہ کیا اور پھر جب گوجر ملت پر زوال آیا تو باقی گوجر اور گرجراں کی طرح یہ بھی پہاڑوں اور بیابانوں کی طرف کوچ کرگئے۔

behen - Sister - بہن

 عورت کسی بھی عمرکو پہنچ جائے مگر وہ اپنے بھائی سے اتنی ہی شدت سے پیار کرتی ہے جتنی ایک ماں اپنی اولاد سے کرتی ہے۔


-----------------------------------------------------------------------


بہن کتنی بھی نخرے والی ہو 'سب سے زیادہ اس کے نخرے بھائی ہی اٹھاتا ہے۔


----------------------------------------------------------------------

بہنیں تین طرح کی ہوتی ہیں ۔

بڑی بہن سمجھداراور شرمیلی، درمیانی بہن خاموش اور کام سے کام رکھنے والی، چھوٹی بہن پٹاخہ۔


----------------------------------------------------------------------


بہنیں بھایئوں کا وہ ہاتھ ہوتی ہیں

جو ہمیشہ دعاؤں کے لیے اٹھتا ہے۔


----------------------------------------------------------------------


بھائی بہن کا انوکھا رشتہ۔ 

کبھی پکی دوستی کبھی پکے دشمن۔

بھائی کی جان بہن، بہن کا مان بھائی۔

کبھی رازدار کبھی چغلی لگانے کے ماہر۔

اور ایسا بھی دیکھا گیا۔

ضرورت پڑنےپر بہنیں ماں کا کردار نبھا لیتی ہیں اور بھائی باپ کی جگہ لے لیتے ہیں۔

اللہ سب بہن بھائیوں میں محبت پیدا فرمائے۔آمین۔

Butt Sahab Lateefay

aik butt apni shadi wali raat kamray mein aaya.

shirt utari, dikar mari, kundi lagai aur bola.

sohniyo so jao kal walima wi khana aye.


-----------------------------------------------------------


aik butt aur jutt ki biwiyan gum ho gaein.

Jutt: tamhari bivi kaisi thi?

Butt: gori rangat, gulabi hont, katrina jaisa qad, aishwarya jaisi ankhein, madhuri jaisi chaal, shilpa jaisay baal, sania mirza jaisi fittness, aur aapki?

Jutt: meri nu goli maar chal teri labhnay aan.


-----------------------------------------------------------


Doctor: aap kay gurday fail ho gye hein.

Butt: haye kitnay numbron say?


-----------------------------------------------------------


Butt sahab say kisi nay pucha pahlay anda aya ya murghi?

Butt sahab masoomiyyat say bolay....

pahlay naan chanay aye, phir anda paratha aaya, phir murghi aur naan aye, phir do glass lassi kay aye, phir aik cup doodh patti ai, aur sab say akhir mein bill aaya.

Saqi Shayari

Peeta hon jitni itni hi barhti hay tishnagi

saqi nay jaisay piyas mila di sharab mein...


-------------------------------------------------------------------


baat saqi ki na taali jaye gi

kar kay toba tor dali jay gi


-------------------------------------------------------------------


nizam e mekada bigra huwa hay is qadar saqi

usi ko jaam milta hay jisay peena nahi aata


-------------------------------------------------------------------


aakhri ghont tak pila saqi.............

mekaday ki kasam abhi hosh mein huo mein


-------------------------------------------------------------------


thak chuka pee kar jaam teray mekhanay ka

aaj nazron say pila kah saqi udas hay


-------------------------------------------------------------------


kah too manay mujhay is liye kah mein rootha hon

mujhay mana meray saqi kah raat jati hay


-------------------------------------------------------------------


nasha pila kay girana tow sabhi ko aata hay

maza tow tab hay kah girto ko tham lay saqi


Kash Mein Teray Haseen Hath Ka Kangan Hota

 

kash mein teray haseen hath ka kangan hota

Too baray piyar say baray chao say baray maan kay sath

Apni nazuk si kalai mein charhati mujh ko

Aur betabi say furqat kay khizan lamho mein

Too kisi soch mein dubi jo ghumati mujh ko

Mein teray hath ki khushboo say mehak sa jata

Jab kabhu mood mein aa kar mujhay chuma karti

Teray honto ki hiddat say mein dehak sa jaata

Raat ko jab bhi too neendo kay safar par jati

Marmari hath ka ik takkiya banaya karti

Teri zulfo ko teray gaal ko chuma karta

Jab bhi too band qaba kholnay lagti janan

Apni ankhon ko teray husan say kheera karta

Mujh ko bretab sa rakhta teri chahat ka nasha

Mein teri rooh kay gulshan mein mehakta rahta

Nein teray jisam kay aangan mein khanakta rahta

Kuch nahi tow yahi benaam sa bandhan hota

Kaash mein teray haseen hath ka kangan hota

Random Shayari

ab hum bichray tow shayad kitabo mein milen

jis tarha sookhay huway phool kitabo mein milein


---------------------------------------------------------------------------


inhi rasto par chal kar aa sako tow ao....

meray ghar kay samnay koi kahakashan nahi hay


---------------------------------------------------------------------------


bay wafa niklay ho zalim teri wafa pay naaz tha

chupkay say teer mara wo bhi bay awaz tha...


---------------------------------------------------------------------------


hamein tow wo phool pasand hein jo shabnam say bhi paak hon

galiyo mein ronday huway phool hum uthaya nahi kartay


---------------------------------------------------------------------------


seerat kay hum ghulam hein soorat hui tow kia

surkh O Safaid pathar ki moorat hui tow kia


---------------------------------------------------------------------------


teray ishq ki hay justaju.. 

teri qurbato ka sawal hay..

meri saans hay jo rawan rawan

teri chahto ka kamal hay..


---------------------------------------------------------------------------


mast rah apni masti mein na ja ghero ki basti mein

jahan qadar na ho teri hasti ki eent baja day aisi basti ki

Police Lateefay

aik charsi qabristan mein charas pee raha tha. Police aa gai tow charsi nay charas chupa di.

Police: kia kar rahay ho?

Charsi: kuch nahi apnay walid kay liye dua kar raha hon.

Police: magar yah tow kisi chotay bachay ki qabar hay....


---------------------------------------------------------------------


Polcie: "Knock Knock"

Me: Who is it?


Police: Police!

Me: What do you want?


Polce: To talk

Me: How many are you?


Police: 2

Me: Talk to each other.


---------------------------------------------------------------------


Polcie ki bharti ho rahi thi aik umeedwar say afsar nay pucha. 

majmay ko muntashir karna ho tow tum kia karo gy?

umeedwar: janab mein chanda jamma karna sharu kar dun ga.

Police Lateefay

raat kay waqat aik constable kisi maqam say guzar raha tha kah isay kareeb say "bachao bacho" ki awaz sunai di.

is nay us simmat qadam barhay tow andaza huwa kah koi admi kunwen mein gira huwa tha.

is nay rassi ki madad say isay ooper khencha. jab wo shakhas aadha ooper aaya tow constable nay dekha kah wo admi S.P sahab thay.

Sir aap....! constable nay foran rassi chor di aur hath utha kar salute kia.


------------------------------------------------------------------------


Police wala apnay betay say. tumhara result bohat bura aaya hay aaj say tumhara khelna aur T.V dekhna band.

Beta: yah 50 rupay pakro aur baat ko yahi khatam kar do.


-----------------------------------------------------------------------


Police: tumhein dukan mein chori kartay huway maan behan ka khayal nahi aaya.

chor: janab khayal tow aaya tha magar dukan mein sirf mardana kapray hi thay.


-----------------------------------------------------------------------

Wakeel Latifay

aik muqadmay mein jirrah kay doran wakeel e safai nay gawah say pucha. "kia tum bata saktay ho kah tum maqam e wardat say kitnay faslay par thay?" Gawah nay jawab dia. "jee han janab! mein maqam e wardat say teen meter, pandra ishariya saat centimeter kay faslay par tha" wakeel nay herat say pucha. "lekin tum nay is qadar sahi andaza kaisay qaim kia?" 
Gawah bola "mujhay maloom tha koi na koi bay waqoof mujh say is kisam ka ahmaqana sawal zarur karay ga is liye mein nay pahlay hi naap lia tha" 

 -------------------------------------------------------------------------- 

mujrim sardar wakeel say: koshish karna mjhay phansi na ho, umar qaid bahalay hi ho jay. 
Sardar Wakeel: theek hay aglay din mujrim sardar wakeel say 
Mujrim: kia bana? 
Sardar wakeel: bari mushkil say umar qaid karwai hay judge tow tumhein riha karnay par tula huwa tha.. 

 --------------------------------------------------------------------------

Sunday, July 14, 2024

Love Shayari

Jaan Pe Jaan Ko Warna Padta Hay

Ishq Me Dil Ko Harna Padta Hay


Kahte Hain Aag Ka Dariya Hai Ye

Pyar Me Khud Ko Marna Padta Hay 

--------------------------------------------------------

Jabse Huwe Hain Unkay Ham

Door Huwe Hain Saare Gham


Dil Ab Bada Hi Shaad Hai

Aankhen Bhi Ab Nahi Hain Nam


Har Shay Mili, Milay Jo Wo

Khushiyan Hi Ab Hain Dam’ba’Dam


Ranj o Malaal Mit Gaye

Dard o Alam Huwe Hain Kam


Unkay Hi Ek Saath Se

Jeena Hai Ab Khadam Khadam

--------------------------------------------------------

Kisi Surat Wohi Pahla Nazarah Saath Le Aana

Jab Aao To Samandar Ka Kinarah Saath Le Aana


Safar To Shab Ka Lamba Hai Tum Itna Kaam Kardena

Koi Jugnu Koi Raoshan Sitarah Saath Le Aana


Ye Karobar e Duniya Hai Magar Acha Nahi Lagta

Hamesha Daman e Dil Me Khasarah Saath Le Aana


Hamare Shaher Me Besakhiyan Nayab Hoti Hain

Saharon Ki Zarorat Ho tow Saharah Saath Le Aana


Tumhare Shaher Ke Maosam Bahot Hi Yaad Aate Hain

Tum Apne Shaher Ke Maosam Khudarah Saath Le Aana


Mujhe Yaq basta Jazbe Iftekhar Acha Nahi Lagta

Yahan To Baraf Maosam Hai Shararah Saath Le Aana

NEWS: Hakoomat Ko Khatra Noon League kay andar jari iqtidar ki jang say hay

Hakoomat Ko Khatra Noon League kay andar jari iqtidar ki jang say hay: Faisal Wawda 22 July, 2024 Karachi: sabiq wafaqi wazeer senator Faisa...