MammaSoni fun, MammaSoni entertainment, MammaSoni News, MammaSoni blog, Lahore Lahore Hay
Thursday, July 18, 2024
Bahadur Shah Zafar Beautiful Ghazal
Mirza Ghalib Ghazal
koi umeed bar nahi aati
koi soorat nazar nahi aati
mout ka aik din mueean hay
neend kiyu raat bhar nahi aati
aagay aati thi haal e dil pay hansi
ab kisi baat par nahi aati
janta hon sawab e taa't O Zohad
par tabiat idhar nahi aati
hay kuch aisi hi baat jo chup hon
warna kia baat kar nahi aati
kiyu na cheekhoon kay yaad kartay hein
meri awaz gar nahi aati
daagh e dil gar nazar nahi aata
boo bhi aye chara gar nahi aati?
hum wahan hein jahan say hum ko bhi
kuch hamari khabar nahi aati
martay hein aarzu mein marnay ki
mout aati hay par nahi aati
kabay kis mun say jao gy ghalib
sharam tum ko magar nahi aati
(Mirza Ghalib)
Tuesday, July 16, 2024
Kash Mein Teray Haseen Hath Ka Kangan Hota
kash mein teray haseen hath ka kangan hota
Too baray piyar say baray chao say baray maan kay sath
Apni nazuk si kalai mein charhati mujh ko
Aur betabi say furqat kay khizan lamho mein
Too kisi soch mein dubi jo ghumati mujh ko
Mein teray hath ki khushboo say mehak sa jata
Jab kabhu mood mein aa kar mujhay chuma karti
Teray honto ki hiddat say mein dehak sa jaata
Raat ko jab bhi too neendo kay safar par jati
Marmari hath ka ik takkiya banaya karti
Teri zulfo ko teray gaal ko chuma karta
Jab bhi too band qaba kholnay lagti janan
Apni ankhon ko teray husan say kheera karta
Mujh ko bretab sa rakhta teri chahat ka nasha
Mein teri rooh kay gulshan mein mehakta rahta
Nein teray jisam kay aangan mein khanakta rahta
Kuch nahi tow yahi benaam sa bandhan hota
Kaash mein teray haseen hath ka kangan hota
NEWS: Hakoomat Ko Khatra Noon League kay andar jari iqtidar ki jang say hay
Hakoomat Ko Khatra Noon League kay andar jari iqtidar ki jang say hay: Faisal Wawda 22 July, 2024 Karachi: sabiq wafaqi wazeer senator Faisa...
-
ab hum bichray tow shayad kitabo mein milen jis tarha sookhay huway phool kitabo mein milein -----------------------------------------------...
-
aik muqadmay mein jirrah kay doran wakeel e safai nay gawah say pucha. "kia tum bata saktay ho kah tum maqam e wardat say kitnay fasla...
-
Hakoomat Ko Khatra Noon League kay andar jari iqtidar ki jang say hay: Faisal Wawda 22 July, 2024 Karachi: sabiq wafaqi wazeer senator Faisa...


