koi umeed bar nahi aati
koi soorat nazar nahi aati
mout ka aik din mueean hay
neend kiyu raat bhar nahi aati
aagay aati thi haal e dil pay hansi
ab kisi baat par nahi aati
janta hon sawab e taa't O Zohad
par tabiat idhar nahi aati
hay kuch aisi hi baat jo chup hon
warna kia baat kar nahi aati
kiyu na cheekhoon kay yaad kartay hein
meri awaz gar nahi aati
daagh e dil gar nazar nahi aata
boo bhi aye chara gar nahi aati?
hum wahan hein jahan say hum ko bhi
kuch hamari khabar nahi aati
martay hein aarzu mein marnay ki
mout aati hay par nahi aati
kabay kis mun say jao gy ghalib
sharam tum ko magar nahi aati
(Mirza Ghalib)
No comments:
Post a Comment