Monday, July 22, 2024

Mulla Naseer U Din aur aik Yahudi

Mulla Naseer Udin kay paros mein aik maldar yahudi rahta tha. jo itna kanjus tha kah kabhi kisi ghareeb aur mohtaj ko kabhi aik paisa na deta. Mulla nay kai martaba usay samjhaya kah Khuda nay tumhein dolat ata ki hay usay ghareeb logo par kharach kia karo lekin us nay kabhi Mulla ki aik bhi naseehat na suni.

Akhir kar Mulla nay usay saza denay kay liye aik tarkeeb sochi. aik din wo subha namaz parh kar zor zor say dua mangnay laga "Ya Allah agar too mujhay aik hazar ashrafiyo ki theli day day tou mein usay sab ki sab ghareebo par kharch kar dun ga. Lekin agar us mein say aik bhi ashrafi kam hui tou mein us ko qabool nahi karu ga".

Yahudi nay yah dua suni tow socha kah Mulla bara imandar banta hay, is ki imandari azmani chahiye. yah soch kar us nay aik theli mein 999 ashrafiyan rakhein aur ain us waqat jab Mulla Naseer U Din dua mang rahay thay us waqat un kay sehan mein phaik dein.

Mulla Naseer U Din nay lapak kar theli utha li aur ahsrafiyan ginanay lagay. kul 999 ashrafiyan thein. Mulla nay zor say kaha "Ya Allah tera shukar hay kah too nay meri dua qabool farma li. aik ashrafi kam hay tow koi baat nahi yah ashrafi phir kabhi day dena".

Yahudi nay jab yah alfaz sunay tow dil mein sochnay laga kah yah Mulla tow bohat chalak hay is nay dhokay say meri ashrafiyan hathiya li hein. wo bhaga bhaga Mulla kay paas gaya aur kaha "tum bohat bay iman shakhs ho tum nay tow kaha tha kah 1000 mein say aik bhi ashrafi kam hui tow mein qabool nahi karu ga". Lekin ab tum 999 ashrafiyan qabool karnay par tayyart ho.

Mulla Naseer U Din nay ghussay say kaha, "yah mera aur meray Allah ka muamla hay tum darmiyan mein aanay walay kon hotay ho. Chalo bhag jao yahan say".

Yahudi seedha qazi ki adalat mein gaya aur Mulla kay khilaf muqadma dayar kar dia. Qazi sahab nay yahudi ko hukam diya kah Mulla Naseer U Din ko yahan lay kar ao.

Jahudi nay Mulla Nasser U Din kay paas aa kar kaha chalo tumhein Qazi sahab bula rahay hein.

Mulla nay kaha tum dekh rahay ho mera libaas phata huwa hay. mein is sharat par tumharay sath janay kay liye tayyar hon agar tum mujhay achy say kapray laa do. 

Yahudi nay sharat manzur kar li aur saaf suthray kapray laa kar Mulla ko day diye. 

Besh qeemat libad pehan kar Mulla Naseer U Din kahnay lagay, aye yahudi khud socho itna qeemti libaas pehan kar ab mein pedal qazi ki adalat mein jaon? log dil mein kia sochein gy. Jao aur apna ghora lay kar ao. mein ghorray par sawar ho kar jaon ga.

Yahudi marta kia na karta us nay apna ghora bhi laa kar Mulla kay hawalay kar dia.

Aur Mulla sahab nihayyat shano shokat say tayyar ho kar Qazi ki adalat mein pohanchay.

Muqadma pesh huwa qazi sahab nay ghor say dono ko dekha.

Mulla Naseer U Din ka qeemti libas aur ghora bhi unho nay dekha.

Yahudi ka libas dekha aur yah bhi mahsoos kia kah yahudi pedal chal kar aaya hay.

Yahudi nay jab sara qissa sunaya tow qazi nay Mulla Naseer U Din say pucha Mulla sahab tum is kay ilzam ka kia jawab detay ho?

Mulla nay kaha janab yah yahudi mera parosi hay aur nihayyat jhuta shakhs hay. Abhi yah kahta hay kah mein nay is ki 999 ashrafiya hathiya li hein. Abhi tow yah kahay ga kah yah jo libaas mein pehan rakha hay yah bhi isi ka hay. 

yah suntay hi yahudi chilla utha jee han janab yah libaas jo Mulla Naseer U Din nay pehan rakha hay yah bhi mera hay.

Mulla nay kaha sun liya qazi sahab yah libaas bhi us ka ho gaya. Aur abhi aap dekhiye ga yah kahay ga kah jis ghorray par sawar ho kar mein aaya hon yah bhi isi ka hay.

yah sun kar yahudi ghussay say cheikh utha aur zor zor say chillanay laga jee han jee han yah ghora bhi mera hay.

Qazi nay jab yah batein sunein tow yahudi ko dant kar wahan say bhaga diya aur muqadma kharij kar dia.

Yahudi rota peet-ta Mulla Naseer U Din kay ghar pohancha. aur us ki bari minnat samajat karnay laga.

Mulla nay is sharat par us ki ashrafoyyan libas aur ghora wapis kia kay wo adhi ashraffiyan ghareebo mein bantay ga aur ainda bhi ghareebo ki madad karta rahay ga.

No comments:

Post a Comment

NEWS: Hakoomat Ko Khatra Noon League kay andar jari iqtidar ki jang say hay

Hakoomat Ko Khatra Noon League kay andar jari iqtidar ki jang say hay: Faisal Wawda 22 July, 2024 Karachi: sabiq wafaqi wazeer senator Faisa...