MammaSoni fun, MammaSoni entertainment, MammaSoni News, MammaSoni blog, Lahore Lahore Hay
Thursday, July 18, 2024
Bahadur Shah Zafar Beautiful Ghazal
Mirza Ghalib Ghazal
koi umeed bar nahi aati
koi soorat nazar nahi aati
mout ka aik din mueean hay
neend kiyu raat bhar nahi aati
aagay aati thi haal e dil pay hansi
ab kisi baat par nahi aati
janta hon sawab e taa't O Zohad
par tabiat idhar nahi aati
hay kuch aisi hi baat jo chup hon
warna kia baat kar nahi aati
kiyu na cheekhoon kay yaad kartay hein
meri awaz gar nahi aati
daagh e dil gar nazar nahi aata
boo bhi aye chara gar nahi aati?
hum wahan hein jahan say hum ko bhi
kuch hamari khabar nahi aati
martay hein aarzu mein marnay ki
mout aati hay par nahi aati
kabay kis mun say jao gy ghalib
sharam tum ko magar nahi aati
(Mirza Ghalib)
NEWS: Hakoomat Ko Khatra Noon League kay andar jari iqtidar ki jang say hay
Hakoomat Ko Khatra Noon League kay andar jari iqtidar ki jang say hay: Faisal Wawda 22 July, 2024 Karachi: sabiq wafaqi wazeer senator Faisa...
-
Mulla Naseer Udin kay paros mein aik maldar yahudi rahta tha. jo itna kanjus tha kah kabhi kisi ghareeb aur mohtaj ko kabhi aik paisa na det...
-
کوئی جوڑی کاواں دی دنیاں توں مٹ گئی اے ہن رسم وفاواں دی koi jori kawan di dunya ton mitt gai aye hun rasam wafawan di -------------------...
-
Aik martaba ka zikar hay do cousins thay barray ka naam Kabeer aur chotay ka naam Abdul Rehman tha. Kabeer, Abdul Rehman ki khala ka beta th...

