Aik martaba ka zikar hay do cousins thay barray ka naam Kabeer aur chotay ka naam Abdul Rehman tha. Kabeer, Abdul Rehman ki khala ka beta tha.
Abdul Rehman bohat mehanti parhnay likhnay wala larka tha. Wo zindagi mein kuch banana chahta tha.
Abdul Rehman aur kabeer kay walid kay darmiyan shadeed kisam kay conflicts thay. aik waqat tha kah Kabeer kay aur Abdul Rehman kay walid Abdul Rehman kay Nana Abbu kay ghar families kay sath ikathay rahtay thay. us waqat abhi Abdul Rehman peda bhi nahi huwa tha. Lekin Kabeer kay walid nay sazish kay zariye Abdul Rehman kay walid ko ghar say nikalwa dia tha. Tab say in dono kay darmiyan shadeed ikhtilafat thay.
Abdul Rehman ki khawahish thi kah wo bara ho kar bara aadmi banay us kay liye wo din raat parhta aur free time mein bhi creative masrufiyat mein waqat guzarta.
Dusri taraf Kabeer ko parhai likhai mein koi khas shoq nahi tha. wo galiyon mein awara gardi karta, tash khailta, movies aur daramay dekhta.
Waqat guzarta raha. Kabeer nay apni ayashiyo ko pura karnay kay liye aik factory mein job kar li. Kabeer aur us kay walid ki yah shadeed khawahish thi kah Abdul Rehman bhi parhai likhai chor kar kabeer ki tarha factory mein kaam karay. us kay liye wo din raat Abdul Rehman ki walida ko force kartay rahtay thay. Jis ki wajha say Abdul Rehman shadeed distress ka shikar ho chuka tha aur us ki parhai bhi mutasir ho rahi thi.
Waqat guzarta gaya Abdul Rehman nay Master in Computer Science mukamal kia aur aik achi Multi-National Company mein Computer Programmer ki job hasil karnay mein kamyab ho gaya.
Dusri taraf Kabeer nay mushkil say matric kia aur police mein constable bharti ho gaya.
Kabeer aur Abdul Rehman kay walid intiqal kar chukay thay. Lekin Kabir apnay walid ki rawish barkarar rakhay huway tha. Abdul Rehman kay mun par wo intihai piyar jitata lekin peechay say jarren katnay, sazishen karnay aur musalsal manipulation ka koi moka janay nahi deta tha.
Abdul Rehman ki aik Government officer say shadi ho gai aur us nay Abdul Rehman ki zindagi mein bharpoor sath dia.
yah cheezen Kabir ko sakht khatakti thein. aik din family mein aik dinner ho raha tha. jab Kabeer nay Computer par kaam karnay walo par aik intihai ghatiya sa lateefa sunaya. sab hans paray lekin Abdul Rehman janta tha is lateefay ka maqsad Abdul Rehman ko degrade karna aur usay discourage karna hay.
Abdul Rehman ki bivi jo sab janti thi us nay baat ka rukh kisi aur taraf morr dia aur Abdul Rehman ko baton mein laga liya.
Kabeer ki adat thi kah woh hamesha aisi trolling Abdul Rehman kay sath akelay mein karta tha. Yah wahid moka tha jab us nay sab kay samnay Abdul Rehman ki insult ki thi.
Dinner kay baad lawn mein chehal qadmi kay doran Abdul Rehman nay Kabeer ko ja pakra. us nay kaha kah mein manta hon kah tumharay aur meray walid kay darmiyan serious conflicts thay. magar is ka matlab yah nahi kah tum har waqat meri leg pulling mein lagay raho. Kabeer chalaki say muskaraya aur kaha nahi Abdul Rehman tum kaisi batein kar rahay ho yah tow sirf aik good fun tha. wo dobara masoomiyat ka libada oorh chuka tha.
Abdul Rehman nay aik lamba saans liya. wo samjh chuka tha kah usay apni family aur bacho kay liye ab stand lena ho ga. us nay kaha dekho Kabeer mein manta hon kah meray aur tumharay walid kay darmiyan conflicts thay lekin tumhara rawaiyya meray sath naqabil e bardasht ho chuka hay. Family ko aik dusray ko support karna chahiye na kah aik dusray ko tabah karnay kay darpay rahna chahiye.
Kabeer muskaraya aik lamhay kay liye us ko apna aap doobta mahsoos huwa. lekin jald hi us nay apnay aap par qabu paya aur kaha. Oh ho Abdul Rehman tum khawamkhah itnay serious ho rahay ho. Lekin Abdul Rehman is lamhay kamzor nahi para aur kaha, nahi Kabeer mein serious nahi ho raha dekho aik dusray ko izzat dena aik serious matter hay. agar tum mujhay izzat nahi day saktay tow shayad hum aik dusray say na mila karen tow wo acha hay.
Kabeer herangi say Abdul Rehman ki taraf dekhta rah gaya. wo us kay mazboot lahjay say impress ho chuka tha. us nay mun mein kuch burburaya aur wahan say chala gaya.
Abdul Rehman janta tha is tarha Kabeer ki manipulations khatam nahi ho jaein gi lekin yah aik start tha us nay aik line draw kar di thi. Aur wo us par mazbuti say khara tha.
us din kay baad Abdul Rehman nay apnay aap ko mazeed mazbut karnay kay liye pahlay say bhi zayada koshish taiz kar di. us nay Kabeer ki badtameezion aur chalakiyon kay khilaf apni khud aitimadi aur self respect ko dhaal bananay ka pakka irada karliya tha.
us din Abdul Rehman ko realize huwa kah asal takat kisi kay khilaf dil mein nafrat aur keena rakhnay say nahi banti. balkah apnay liye mazbuti say stand lenay say banti hay. aur is kay sath hi Abdul Rehman ko aik sakun aur takat ka ahsas huwa jis ko Kabeer ki bari say bari manipulation bhi nahi cheen sakti thi.